Aadhaar number is not verified PM Kisan | PM Kisan Aadhar Number is not Verified | How to verify aadhaar number in pm kisan

Aaj Ham janane wale hai ki ham sab pm kisan samman nidhi yojana me aa rahe Aadhar Status me Aadhar number is not verified ko kaise thik kar sakate hai sathi ham sikhane wale hai Aadhaar number is not verified PM Kisan, PM Kisan Aadhar Number is not Verified, How to verify aadhaar number in pm kisan, Howto Aadhar Number is Verified, PM Kisan Aadhaar Card Link Edit Bank Account Online, PM Kisan Aadhaar Link Status Online Check, PM Kisan Aadhaar Verification pending, how to activate pm kisan account, how to activate pm kisan account inactive, Post ko full read kare….

Aadhaar number is not verified in pm kisan ?

App soch rahe honge ki hamare pm kisan yojana ke form me aadhar number is not verified kyo bata raha hai, Hamane form to sahi bhara tha fir aisa kyo bata raha hai, this problem ko kaise solve kare, hame kaise pata chalega ki hamare form me kya galati thi jisaki vajah se aadhar number not verified bata raha hai….

Check karane ke liye ki apake pm kisan form me aadhar number is not verified kis reason se bata raha hai isake liye niche diye step ko follow kare….

  1. https://pmkisan.gov.in/ this website ko open kare
  2. Beneficiary Status option par click kare
  3. aadhar number se status check kare
  4.  Aadhar Number is not Verified (Yah likha mil jayega)
  5. this objection/problem ko solve karane ke liye this Status me apako Farmer Name ko physical aadhar card se match karana hoga, yah error apako jab milata hai tab apake aadhar card me name/spelling wrong enter ho, yah reason hota hai main jis ke karan apako yah error dikhane ko milata hai, hamare customer ke pm kisan form me jo name hai aadhar card me jo name hai vah wrong hai, dono ek dusare se  name match nahi hoata hai…
  6. Aadhaar Number is not Verifed ko solve karane ke liye apako pm kisan ki site par aadhar edit karana hoga jisame apako pm kisan form me aadhar card ke according hi name enter karana hoga jo name aadhar card me same vahi name apako PM Kisan Samman Nidhi Yojana ke form me farmer name karana hoga, jab yah problem solved hoga, this problem ko solve karane ke liye niche dekhe…

How to verify aadhaar number in pm kisan ?

Aadhar number ko verify karane ke liye niche diye step ko follow kare…

PM Kisan ki official website par visit kare www.pmkisan.gov.in  kare


Edit Aaadhar Failure Recoeds option par click kare or Aadhar verified for  https://pmkisan.gov.in/UpdateAadharNoByFarmer.aspx  par click kare

Search by option me Aadhaar number ko selecet kare then Aadhar number enter kare Image text box me Captcha enter kare fir Search button par click kare

Agar apake pm kisan form me Aadhaar number is not verified ke liye pending hoga tabhi this windows open hoga…

fir Edit button par click kare next process ke liye

Yaha par apako Farmer Name me aadhar card ke according name enter karna hai, yaad rakhe ki name enter same to same aadhar card ke accoding hi hona chahiye, sath hi confirm name enter kare, Agar aap mobile number update karana chahte hai to new mobile number add kar sakate hai agar new mobile number update nahi karna hai to new mobile number option ko blank rahane de, fir Update button par click kare…

Jaise aap UPDATE button par click karate hai to This message Display ho jayega auto, Agar yah message aata hai tabhi apaka request dala  hai agar aur kuchh message aata hai to yah request failed bhi ho sakata hai…

Aise aap Aadhar number is not verified ko verify kar sakate hai, yak kaam karane ke baad kitane day me status change ho jayega, isake liye niche denkhe…

How many days does it take to aadhaar number verified pm kisan ?

Agar apane abhi ya fir kuchh day pahale apane pm kisan form me aadhar number is not verified ko thik karane ke liye apane online aadhar card number is verified ke liye request kiya hai, agar aap janana chahate hai ki yah kab tak accept ho jayegi request ?

Agar apane khud se ya fir csc centr par jakar apane pm kisan form ko Aadhar number ko verify karane ke liye request kiya hai lekin jab aap pm kisan form status check karate hai to vaha par Aaadhaar Status : Aadhaar number is not verified likha aata hai jab ki apane verify ke liye request send bhi kar di hai,

dekho dosto jaise aap aadhar verify ke liye request send karate hai to vah request auto ya turant accept nahi hoti hai, usako manual hi accept karana hota hai Krishi vibhag officer dwara to isake liye apako wait karana hoga, Yah request ko accept hone me minimum 1 week and maximum 2-3 week ka time lagata hai almost, aisa isliye bata rahe hai ki kyo this process ka koi fix day ya fir time nahi hoa hai apako jyada se jyada 1 month wait karana pad sakata hai, agar fir bhi nahi hota hai to aise me ho sakata hai ki apane request karate time kuchh galat dal diya ho kuchh galati kar di ho, jisake chalate apaka kaam nahi huaa ho, agar aisa lagata hai to again aap request kar sakate hai,

Agar sab kuchh sahi hai 1 month se jyada time ho gaya hai request kiya pm kisan form ka status check karane par aadhar number is not verifed hi likha aa raha hai to aap apane district ke pm kisan ya krishi vibhag office me visit kare vaha par apane kisi officer se problem ko share kare vaha pako usake related koi solution bata dega… jyada tar kisano ka yah problem 1 month ke uner solve ho jata hai automatic hi…

Aadhar Number Verify hone ke kitane Din(Day) Baad(After) baki kishte khate(A/c) me aa jayegi ?

Jaise hi Krishi Vibhag ke dwara apaka aadhar number verify kar diya jata hai to usake agale mahine hi baki ki jatani bhi kishte hondi vah sabhi kishte apake bank khate me agale hi mahine aa jayegi. More information ke liye pm kisan toll free number par call kar sakate hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Related Post